Chand ki chamakti roshni samandar k pani per bohat haseen lag rahi thi , yeh manzar raat ka us lamhy ko orr b dilkash bana raha tha..
Lehroo ka shoor mano rooh ko jese sukoon deraha tha, is alam me uska sath kisi khazany jese tha, jise chupaya b nh jaa skta tha or dikhaya b nh jasakta tha,
Na hathon me hath thy , na bahon me bahen , aik faasley se chalny k bawajood b wo sbse qareeb lag raha tha,
Ithlaati bal khati , qadam se qadam mila k chalti hui wo usk sath jo khushi mehsoos ker rahi thi wo uski ankho se saaf zahir thi , mustaqil apny qissey sunata wo thak nh raha tha naa wo use chup kerwana chahti thi...
To be continued..
By Anumfatima
No comments:
Post a Comment