SHOOKIYAAN , SHARARTEN
uska chahra dekh k hamesha uski bachen khill jati thi , jese kisi chor ko ya kisi zaroortmand ki zaroort puri hui ho,
halki si muskurahat chahrey p her wqat sajae rakhna uski adat thi... yeh muskurahat or b gehrii hojati thi jab jab wo uska chahra dekhti thi koi b yeh bht asani se mehsos ker skta tha, ankhen dil ka bayan hoti hey, uski ankhen usk dill ka haal batati thi.
adaen dikhany or naaz uthany me usne bachpan se hi uboor hasil tha
apni jagah kese banani hey, ankho ka tara kse banna hey use bohat achi tarah ata tha,
usk agy agy lehraty hue chal k use wo manoos kerny ki nakaam koshish ker rahi thi , wo jo k aik nojawan shakhs tha , aqal o shaour me usse bohat agey tha, sari adaon ko samjh k nazarandaz ker raha tha,
halki si muskurahat is bat ki gawahi deti thi k wo ,uski adaon me anay wala nahi hey...
apny ap mei sabit qadam rah k , soo meel k fasley k bad b ezat o ehtram k hawaley se wo usk dill k bohat qareeb tha...
agey chalty chalty use yaad aya k , use sath chalna hey, ruk ker uski ankho me dekha , wo hans raha tha, jese intzar ker raha ho,
palat k socha lapak k boosa lely, matha choom k kahey tum haseen lagty ho, wo haseen jiska saani koi nahi hoskta hey, dll ki gehraiyu me raaj kerty ho tum , esa raaj jiski aksar mard khuwahish krty hogy,.. ankhon me theri hui nami ki tarah ho tum, wo nami jo ansu ban k beh b jae tou agly ansu me b taseer choor deti hey,
lekin aas paas k mahool ne is kisi b jurrat ki ejazat nahi di...
bebaak to wo thi hi, lekin esi bekaki kbi nahi thi usme,
sath chalty chalty ik jagah thehar k coffee peney ki khuwahish ne dono ko amney samny bethny p majboor kerdia tha, yeh koi esi majboori nahi thi jisp jabran kaam kerna tha,, ,majboori yeh thi k ik table p b amny samny bethna tha,
kuch dair bad tehalney ki garz se dono aik bar phir sath jarahy thy, usk sath chalty me use fakhar mehsoos hota tha, wo fakhar yeh tha k use dill ka sukoon milta tha, use mill k usne jana tha k baghair lams mehsoos kiye ap garweeda hoskty hen, EZAT muhabbat se bohat uper hey, or hosh sambhalny se ab tak wo isi ezat ko dhondh rahi thi...
uski baten thi k qisey thy sadiyu k, itni umar nh thi jitny qissey wo suna dia kerta tha, lekin usne hamehsa use bolty hue bohat mohtaat or khoobsurat paya..
uski baton se manos nahi thi wo, usk amal or jhuki nazarey manoos ker rahi thi..
use andaza tha k yeh wo akhri shakhs hy jise wo dhond rahi thi, isk bad talash khtam hogai thi
lekin yeh or bat thi k
MILNA USE WO B NAHI WALA THA..
lekin duaen taseer badal deti hey, bs yhi soch k duagoo thi..
To be CONTINUED...
by anumfatima®
No comments:
Post a Comment