wo chahti thi yeh larai taveel na ho,
lekin Ana bech me khari thi , sary talluq khatam kerk b agly din be maqsad ka sms kerk use yaad dilaya tha k , zindah hun mei abi.
pehal kare ya na kare, isi kashmakash mei message chala gaya tha. Use is bat ka dukh nahi hona tha k wahan se jawab nh aega, qk jwb to ata tha.. dukhany k liye usk pas or b zarae thy..
Haye yeh kesi jurrat thi , ezat e nafs kinary kerk agy barhna tha yeh sochy baghair k agey se use jhirkaa b jaskta hy,
Shikayat o tanz k teer chalty hue usk chahry p dabi si hansi thi , jisse yeh zahir hota tha , bhaley tanz hora hey lekin kuch to hey jo hora hey..
Rishto k mamly me hamesha se bohat ghareeb rahi thi. Rishty bachany or barqaraar rakhny k liye jitna wo jhuk jati thi utna hi gir jati thi..
Shayd log itni bazarf nh they ya wo kamzarf nh thi ..
Kali Barii bhoori ankhen , gori rangat, lamba qad , chora shaana, yahi tashreeh batai gai thi use kisi b khoobsurat shakhs ki,,
lekin usne jise khoobsurat kaha tha uski ankhen bhoori nahi thi lekin gehri thi, qad jitna lamba tha dill b utna wasee tha, rangat gandumi thi lekin ghani darhi use purkashish banati thi, akhlaqiyaat me usne jese uboor hasil kiya tha , zabaan me itni taseer thi k kisi ko b ma'ail ker sakta tha, uski uthi nazro me jo haya thi wo kisi ki jhuki nazro me b mehsoos nh ki thi usne.. use yeh apna muhafiz lagta tha
Achaw wqat any wala hey yahi soch k safar jari rakha hua tha, dill tha kisi se amadah nh hota tha, bechaini thi k barhti jati thi,
Wo Allah se hamesha apna sukoon mangti thi ,dil ka sukoon , Allah kisi bandy ki MUhabbAt me na rulana, tere bandy bary zalim hey.. aksar is dua p ansu ajaty thy..
Dono me kisi kisam ka koi mo'aeda nh hua tha sath rahegy ya degy, lekin wo chahti thi in siyah ankho ki chamak wo ho, is waseeh dill me uska raaj ho,
Zindagi me phli bar kisi ki chahat hui thi, esi chaht jisme zamen asman aik kerny k waday nahi thy, lekin justuju thi,
Esi chahat jisme qadam se qadam nh milana tha bulk sath chalna tha , esi chahat thi k duniya se chura ley . Agy barh k hath barhae or tham le usko, usne kabi yeh nh socha tha k hath jhirka b jaskta hy , wo qadam pechy b hatt skta hy... usne yeh sb socha hi nh tha , usne bs uski zaat chahy thi...
Lekin wahan to ,
us dill me kisi or ka raaj tha, un ankho me siyahi kisi or ki thi, us dimagh me soch koi or thi , dill kisi or k liye dharakta tha, chaht lagan or justuju kisi or k liye thy , usk ansu b kisi or k liye thy...
Tou phir yeh kia tha jo usne mehsoos kiya tha???
To be continued
By Anumfatima
Behtreen
ReplyDeleteBht zabrdst likha hai.. alfaz aese k doob jao.. 👍👍👍👍
ReplyDeleteBohat achi tehreer he... 👍
ReplyDelete