Sunday, 26 July 2020

RIWAITI SAMAAJ AUR AAM SE LOUG

kahi matam hey kerny ko... 
wo zara choti thi umar mei, lekin aqal o shaour me hoshiyaar thi, usme itni taqat thi k ghlat ko ghlat samjh b skti ti or kah b skti thi, isi wajha se uski kam logo se banti thi, per iska malal nahi tha, esii bheer se bhter tanhai hey , jahan insan apni islah ker saky banisbat barbad kerny ko khudko.

uski ammi zara sakht tbiat ki malik thi,  jis ghr me ankh kholi thi wahn betiyu k liye alag rule thy, or beto k liye alag jese k sary samaj mei hey,, 
BETIYA JESE QOROUN K DAAM THI..

her qurbani or ehsas ki zimedaar beti ko hi banaya jata hy ab chahy wo apni ho ya kisi ki lekrr ae ho,
mtlb beton ko kio nahi bataya jata k tumy b seekhna hy, tum halki awaz se bat karogy tou mardangni khtam nahi hogi , tum zara jhuk jaogy tou log namard nahi kahegy,

wo sirf yeh sochti thi k jab paal nahi skty tou bheer lagany ki kia zarorat hey, chand lamho k mazey k liye , oulad laker rulao nahi,
bara tou her koi hojata hy, road p phirny wala yateem b,, lekin agr 30 logo k bech me rhaty hue b usko wahi feel ho jese road p bary hony waly ko hua , tou yeh lamha sochney ka hey...

uski bhabi bohat hi khoobsurat shakal ki hamil thi.. gori rangat, lambey baal, khush shakal...
adatan b achi thi... hans k milti thi, thatta marr k hanstii thi jo unki saas yani meri ammi ko katai pasand nahi tha...

thatta mar k hansny p aksar hum bhny b zalil hojaty thy.. phir abi to rishta SAAS BAHU ka tha.

shadi ko kuch din hi guzry thy.. zara laparwah c thi uski bhabi.. mtlb khana khliya to bartan nahi uthae... kitchen phela hey to esai chor dia , riwaiti or samaji alfaz mei  esi ourat ko phoohar or bedhangii kaha jata hey,

 even k unka apna room intahi tour se phela rahta tha, 
bhai sahab zara laubali si tbiat k thy, wo begum ki gori rangat me khoo gae thy, 
wese b akele rahty thy to gandagi ka yeh alam tha k pent utarty tou jab usme chirya k bachy hojaty thy wo tab apni jagah se hilti thi,,,

isiliye hum sara kasoor bhabi ko dene k haq me nahi,,

khair maa humari aik riwati saas jesi thi.. unka dill itna bara nahi tha k bahu ko seekha deti na bahu esi thi k achi sas ko dekh k seekhny ki chah kareti,

bhabi ki ammi ne apny susral walo se tang hoker , alag hony se phy sari umar aik kamry me darwaza band kerk k guzar di thi,,,

 oulaad jo dekhti hey wo seekhti hey, phir chahy ALLAH kuch b dedey , agr usne acha nahi dekha tou wo acha karegi b nahi, bhabi shiba b kuch esi hi thi,

mtlb ghr ka mohol kafi jhushgawar hua kerta tha phir b unhy kamra band kerk rahny ki adat thi,...
itna achi tarah azadana rakhny k bawajood b hum hi sbse baten sun rahy hoty thy k esa kia kerty ho bhabiya milti tak nahi,

 6 mahiny hue thy k saas sahiba ki bardasht khtam hui or unhony kitchen na sametny p khari khari suna di, nateeja yeh nikla k bhabi sahiba kaam sekhny k bajae rooth k mekky chali gai..

 bhai sahab p us wqt pese ki zara garmi thi, kisi achy ohdey p faiz thy, bhari tankhua lety thy, to smjhy bv b dosri ajaegi, 
per 2din mei unhey gori ragat ne khencha ,
 begum ko call ki tou pata chala k alag kitchen chahti hen, humri amma ne jhat kaha tum alag hoskty ho,unhey filhal koi etraz nahi tha, wo chahti thi bahu begum apny shohar ko samjhy uski zimdari uthae,,,

ab thi tou wo saas hi,,, hazam b nahi horaha tha. kitchen alag hua to tbiat b bechein rahny lagi k kia kerti hen nechy alag thalag . lehaza apna kamra nechy waly portion me banaliya .

ab bhabi ko tension k yeh to her wqt hi nechy rahti hen,
mahol din ba din sakht hota jaraha tha, 

dewar b kuch sath rahty thy jo nai naveli bhabi k any p khush thy jo k walidah ko pasand nahi tha
bhai chaly jaty thy to dewar bhabi k kamry me, or chae ki piyali k sath khush gapiya chalti thi, saas sahiba se bardahst nahi hora tha k yeh beta q nechy rahta hy itni dosti q horahi hey,

apny chand se bety ko samjhany k bajae unhony riwaiti saaso ki trah bahu p laan taan shuru kerdi jese amoman hota hy, sasey kerti hey

mjhy meri amma bari mukhtalif lagti thi in mamlaat mei.
lekin wo to bht aam se mizaj ki nikli bilkul riwaiti c, itni hi aam k bhool gai k bohtan wapis lout k b ata hy,
aik KHUDA uper hey jo hisab lelega ,unki betiyu se unk kiye ka,
ALLAH TALLAH  jab khush hota  tou betiya deta hey, lekin kabi kabi wo intekaam k liye b dedeta hey,

wese to wo tahujjud guxar  ourat thi, kitny ghr unk dye hue peso se chalty thy,

lekn yah toALLAH or unka mamla tha 
agr wo kisi ki kirdar kashi kerrhi hen tou kia yh tahujud unhy bacha paegi jb tak k wo shakhs na chahy jiski kirdaar kashi hui.
 
bolny se phly amma ne yeh nai socha k ghr me bhar bhar k betiya hen, nawasi or poti ki surat me b.
wqt guzarta raha ,
 Allah ki lathi be awaz hey, thi or hamesha rahegi,
 yeh bt amma humari bhool gai thi,
k aheen qabar sath jati hey...
to b continued®
by anumfatima® 







Saturday, 27 June 2020

INTZAAR OR KHALII RAAT...

khush rahny ka haq sbko hy,
 sbko khush rahy ka haq hey....
lekin isk bad kese khushi hosakti hey 
jab apko pata hey k apny kisi ko rulaya hey 

kese app hans skty hen,, 
dill kese man jata hey
me heran hojati hun

mene use kuch 4 mahiny bad dekha ,
meri ankh me q ansu agae phr,
kese khushiyaa manali usne...

Wo yad ker rahi thi
Garii me usk baraber wali seeth p bethy hue
Ankho me muhabbat bhar k use ghorty hue
Wo mustaqil uski darhi ko choo rahi thi

Wo kbi use dekhta kbi samny dekhta 
Phir therhi nazar se use dekhta 
Phir samny dekhta 
Wo use batarahi thi
Yh jo duniya itni haseen lagti hy
Yeh tumari wajhase lagti hy
K tum sath ho
Uska hath pakarty hue 
Uski ungliya jakarty hue 
Wo use bata rahi thi
Yeh hath use hamesha itni muhabbat se thamna hy
Tum yeh haq kabi kisi ko nahi dena
Tum mere rahna 

Mera zara gussa kharab hy 
Lekin suno tum mere muhabbat ki thandi aas ho
Mere garam gussey ko kbi havi na kerna 
Mjhy chor k nh jana 
Tum us wqt bat nh kerna jb tumy gussa ae mere gusay p
Me tumy mana lugi
Bs tum smjh lena k
Yeh wqti hey
Per meri muhabbat nahi..

Wo use dekh k bolta her giz nh
Ab jo ho tum ho
Bs ab nh sochna kisi k bary me

Is bat p usne uskaa hath utha k apny gaal se lagaya tha 
Gal se laga k wo use bolta dekh rahi thi
Wqt ruk jae 
Me tumy sunti jao..

Isp wo kuch hichkhicha gaya tha
Yeh uski muhabbat ki kesi buradbari thi , use khud nhi pata tha..
Uska lams mehsos kerty hue wo use batany lagi
Sukoon milta hy tumse yeh sun k...
Me khul k hans pati hu
Me banawati hansna nh chahti 
Me dil se hansa chahti hu
Or yeh tb hi hota hy
Jb me yeh mehsoos ker saku 
K tum sath ho..

Me tumary sath rahuga
Ab hum sath rahegy
Usk hath k uper hath se thapthapaty hue 
Usne yeh yaqeen dilaya tha

Phir kia hoty hen alfaz k elawa 
Jisp ap kah saky k wo mera nahi hy

Amal , 
Usk kisi amal se kabi yeh mehsoos nahi hua k 
Wo baten hi hen
Han wo narazgi aksar taveel keedeta tha 
Lekin 
Mjhy tou yeh uski muhabbat ki ada lagti thi...

Ansu q ajaty hen hamesha 
esi bat yad q ajati hy k dil dukhi hojae

Bs yeh sochna k wo kisi or k sath hans raha hy
Under tak jala k rakh deta hy

Bs wo chahti thi 
Zindagi ki talash ab yahan tamam hojae
Yeh shakhs uski her khuwahish ka akhri safha ho

ELAHII...

talash to ab shuru hui thi 
Usk jany k bad 
Usny kisi shakhs me usko nh dhonda
Qk wo kisi me ho hi nh skta tha

Wo us raat ki talash me thi 
Jis rat phon bajy or wo boley
Tumary bagahir or nahi raha jata
💔💔💔
 Suno hath tham lo
Me tanha hogaya hun
Suno mjhy akela nahi karo..

Aksar raten isi soch me guzar jati thi ... 
To be continued....
By Anumfatima 





Tuesday, 9 June 2020

MAZAJI KHUDA...

Jabse hosh sambhala tha,
Ma baap k bad aik hi rishty ko moatbar janna tha,
Wo tha shohar or bivi ka rishta ,

Duniya jab bani thi,
Tb b sbse phly miya bivi ka hi rishta tha jo wajood me aya tha,
Usk bad baqi rishty bany thy,

Mujhy bohat khoobsurat lagta hey yeh rishta,
Shohar hona kisi b mard k liye kitny zaarf ki bat hy iska andaza aik ba zarf insaan hi laga skta hy,

Allah k bad kisi ko sajda kerny ka hukum dia jata to wo shohar ko dia jata,
Subhan Allah, ❤

 ""Majazi khuda"" 
Is naam ae unsiyat hy mjhy,
Bht lagao hey,
Gehra tal'luq hy,
Me mehsoos kerti hun is naam ki gehrai ko,
bohat haseen lagta hy,
bara hi PAAK lagta hey,

shohar ko chaye k is rutbey ko pany k bad zara shana choura kerk chaley
K log use dekh k kahey yeh rutby wala lagta hey, 

Kia bara rutba srf offices me mil skta hy... 
Zindagi me b rutbey hen or bohat buland  rutby hen, 
yeh insan hey k wo kis rutbey p aker apna zarf ganwata hy...

phir jesa app guman karen 
wesa hi apko mil jata hy

achaw to achaw
or 
bura to bura

me isk haq me nahi k ourat hun to sabar kerk ziadtti bardasht karu
me is haq me hun k use batao ,
 wo is haqq p hy k mre sath husun e sulook kerk khud ko mo'atber  bana skta hey...

yeh tou ALLAH ka banaya hua rishta hey
PAAK OR AFZAL honey k elawa kuch nhi ho skta...

 shohar to sir ka taaj hota hey...
 
mera bas chaley to 
ankhon p bitha k rakhu...

roz matha choom k kahu muqadas hen app mere liye...
mo'atbar hen...
puri raat, sar din muskura k dekhty hue guzaar du, 
k
allah ne inhey mra shohar chuna hey....


mene suna k 

""""MIYAAN BIVI AIK DOSREY KA LIBAAS HOTY HEN"""""

mene tabse apny libaas ki hifazat ki,
us ezat ki jo mjhy apny shohar ko deni thi,
mera dil chahta hey , 
mei nazrey jhuka lu jab mere shohar ka zikar araha ho,
Or muskura do k zindagi k sbse haseen rishty ki bat horahi hey,

me tasawur kerti hun k unka chahra mere dono hathon me hey,
or me unhy unk anmol hone ka bata rahi hun qk wo aik shohar hey,
""'qk wo mera shohar hey,"""

unki ankhon me dekhun or kahu k is rutby ki jitni gehrai hey... 
utna hi ehtram apk liye gehraa hey...
utni ezat apk liye hey....

khushnaseeb hoty hen wo jinhey ALLAH shohar jesa rutba deta hey,,,
her chex her bandy k liye nahi hoti..
shohar banna asan nahi
yeh utna hi mushkil hey jitna lafx '' mushkil ' , mushkil hey
lekin yh khoobsurat hey
ager mehsoos kiya jae 

tou kia yeh jazbaa yunhi qaim rahega...
ya dono taraf se hath uthega to tali bajegi....

han
esai hoga ,,,
mere sir k taaj wo hoga tou...
Mjhy b unki ankhon ki ronaq banna hey...

me jo unhey dekh k muskurao tou, unhey b mjhy dekh k musarrat hona hy
wo mere liye moatber hen tou mjhy b unka ehtraam hona hey...

miyaan bivi aik dosry ka ghuroor hoty hen
aik dosry ka maan hoty hen, wo maan jo hamesha qaim rhna chye...

meri chahat hey , fajar ki namaz k lye mera shohar mjhy uthae...
QUR'AN mre sath parhy or mjhy sunae...

khana ka pehla niwala , unk hath se khaon tou , baqi ka sara me unhy khilaon

meri beti ko hoor kahey or janey b...
uski taribiyat me mere sath baraber ka shareek ho...


me hamesha ALLAH se apny liye achy log mangti hun....
aqal o shour waly,
jinka dill bara ho...
jo ourat ko bojh na smjhty ho

jo zindagi ka sukoon dene ki salahiyat rakhty ho,
baqi dill ka sukoon tou ALLAH k pass hey,


or beshak ALLAH behtreen se nawazny wala hey..
by anumfatima®
 


 

















Tuesday, 2 June 2020

TERI YAAD

Raat k 1 bajy ya din k
Uski yadoo ko tameex hi nahi k ese nh aty....

Jitnii tez dhoop ki tapish hey , utna hi uski kami jala deti hey
Jitni raat gehri hey, utna hi uska khayaal gehrai me utaar deta hey.,

Sirf itna sochna k wo akela hoga ya udass hoga mere baghair, mjhy bohat dukhi kerdeta hey
Sirf yeh khayal ajae k wo mere bin adhoora hy, ankhon me nami le ata hy...

Ziada ehsas kerna b insan ko jahan under se mazboot kerta  hy wahi se khookla b kerdeta hy...

Aj dill itna udass hey itna udas HEY ... 
Yeh khayal k usk baghair rahna hey
Pata nh kitni taweel hy zindagi 
Usk baghair kese guzregii
... 
Dehan hatany k liye mene mobile khola to samny kisi couple me gehra pyar dekh k hansty dekha 
Or phir jese dukh taza hogaya
Mjhy yaad aya k humny b couple banna tha 
Mene uska hath choom k apny hath p rakha tha
Kaha tha usse, suno tum duniya ho meri

Yeh mehaz alfaz nh hey
Mere jazbat hey
Tum mjh me basty  ho, bs mere sath rahna

Alfaz ka kheel smjha wo
Usne gehrai hi mehsoos na ki

Kese alag kerdia khudko mjhse
Mjhy kese kisi or ka hony k liye chor dia
Uska dil q nh kanpa
Uski ankh num q nahi hui
Q nahi socha k zindagi me tabahi b askti hy
Khamosh tabahi
Jo khatam kerdegi 
Aik insan k jazabt
Ehsaasaat
Uski ana 
Khuddari
Khudmukhtari


Kia rahega phir
Khali jism
Khali hansi
Jhooty kahkahen
Khookli ankhen

Yahi sochty sochaty uski ankh lag gai,
JANAA! Is nam se chonk k uthi
Idhar udhar dekha 
Oh tou yeh khuwab tha
Khuwab me aya tha
Kia bat kerna chahta hy
Kia wo thek hoga
Allah na kare pareshan na ho
Isi azmaish me phon uthaya 
Bat kerlu
Kah du k jaan basti hy tummy
Zindagi ho tum
Jan e dill ho
Duniya ho meri
Pyar ho mera
Suno! Tum mere ho
Me bohat MUhabbAt krti hun tumse 
Duniya ki chezen lelo mjjse
Mjhy tum dedo

Kia kah du yeh
Agr usne yeh kah dia k ab tum meri nahi ho
Suno! Me or nahi ker skta baat
Ab mei majboor hun

Haye 💔 
Me to marjaogi 
Me marjaogi....
By Anumfatima®












Sunday, 31 May 2020

HAYA jo sambhaal rakhni thi,

wo dikha raha tha duniya ki asaishey use lubhany k liye,
wo tol rahi thi use ezat k tarazoo mei,
use dekh k use, mehsoos ker rahi thi khushiyaan zamany ki,
wo dabi hansi me soch raha tha usk phool nochny ko ashyaney se,,,
use dekh k hichkacha gai
qadam rasty se jo palat gae ,

barii c chadar me liptii, khudo sambhalti wo idher udher dekh rahi thi..
ezat dhond rahi thi ,
lekin wo to idher udhr nahi milti

kisi shakhs mei nahi hoti ,
yah kamani parti hey,

wo jo kah raha tha tum lakhoon mei haseen ho,
wo yeh mehsoos b tou karwa skta thaa,

use dekh k usne jo chadar ko mazeed phelya tha
apni nazrey jhuka ko khudko HAYADAAR bataya tha,

smjhtii thi nazar me bhari whehshat uskii
usk chahry ki phitkaar jo tezzi se barh rai thi,
khamosh thi k muqabley k liye awaaz uthae ya lfaz...

agy barhti jarahi thi, yahi soch k achey log  moujood hen
lekin kahan yeh dhondna tha

wo use kah raha tha mjhyy tumari haya pasand hey,
 phir q use muahbbat k nam p be haya kerna chahat tha

wo q chahta tha
k jis haya ki wajase usne uska intekhab kiya hey
wo usk pass any k bad khtam hojae

yeh kesi napaak muhabbat thi
ya hawis thi
jise wo muhabbat kah k behlaa raha tha

ba haya or bey haya ki is jang me , use jeetna tha 
phir chahy yeh rishta khatam hojae 

Wo chahti thi wo uski rooh ka lalach karey, usk khuloos ka lalach karey, uski muhabbat ka lalach karey, 
Haye yeh kamzarf log
Tou usk jism k bhooky hen, uski asaisho k bhooky hen...

raat bhar jaag k subha FAJAR ki namaz k bad jab QUR'AN parha 
tou khudki  islah or akhri faisla kerny  me asani hui k 

"""PAAK OURTEN PAAK MARDO K LIYE HEN
OR PAAK MARD PAAK OURToN K LIYE"""...


sukoon se usne yeh benaam sa rishta khatam kiya tha,,
kahi dard se kuch ansu giry thy, 
yeh soch k ,
yeh haya ki chadar jo usne usk liye sambhali hui thi ,
 wo b tou uska rakhwala ban skta tha...

lekin Allah ne kahi aik rakhwala smbhaal rakha tha 
jo use girty me sambhalny wala tha
uska hath thammny wala tha
uski chadar banny wala tha....
aik taweel intzar tha
lekin phir behtren milny wala tha...
by anumfatima®







Friday, 29 May 2020

MUHABBAT OR MEHBOOB







Daaeen hath p usne MUHABBAT rakhi thi
K seedhi dill se jaa lagey...
Baaeen hath me MEHBOOB rakha tha k muhabbat se jaa Miley 

Beach me , mei thi
Jo dono ko HUM PALLA ker rahi thi......

Sunday, 24 May 2020

TEHWAAR ARAHY HEN..

TEHWAAR ARAHY HEN, AAE HI JARAHY HEN
aik tum hi ho jo nahi arahy ho..

sunoo! mera dill ujaar hey
mujhy tum yad aty ho
me tumy dekhna chahti hun,

tumari baten mjhey meri khushiyaan yaad dilati hey
me khush rahna chahti hun,

janna!  is nam se ulfat hey mjhy,
tumary bad yeh mene kisi ko nahi bola

me phir se yeh kahna chahti hun,
me tumy chohna chati hu

wo lams tumari ungliyu ka
mjy bechain rakhta hey
me apni ungliyan ,tumari ungliyu se uljhana chahti hun
me tumy dekhna chahti hun,
by anumfatima®


LEN DEN...

EID KA MOQA HEY,,
KUCH LEN DEN KERTY HEN..

MERA SUKOON
MERI KHUSHIYAAN
MERA WAQAT
MJHY LOUTA DO

ME TUMY , TUMARA DARD...
TUMARI JHIRKIYAAN
TUMARI PALTI NAZAR
JHOOTY WADEY
KHOOKHILI BATEN
TUMY LOUTA DUGI,,

By aumfatima®

AJJ B EID KA DIN HEY...

eid ka din hey..


pichly saal eid p tumny kiya tha wada mjhse
agly saal mehram bana k eid hum manaey,

aik saal yun guzara jese sadiyaa guzri hen,
intzar ki shiddat ko hans hans k guzara tha,

tum aogy lene yeh soch k sb saha tha
lamhy guzar gae , saal b guzar gaya

aj b eid ka din hey,
per me is bat  se anjan hun,

k tum ho b to kahan ho,
mere sath to nahi ho,
per ho tou kahan ho,

wo wada adhora sa,
wo baten namukamal c,

mjhy sog me lati hey,,
me hansty hansty roo jati hun,

ab yeh kisi se nahi sunna k wo mjhy mehram banaega
kisi saal eid p mjhy galy lagaega
kahega k rani ho tum mere is dill ki,
 malika ho kainaat ho mere is jahan ki..


yeh baten phley mjhy hansati hey,
phir zor zor rulati hen,

aj b eid ka din hey
per me anjan hu
k tum ho tou kahan ho....

By anumfatima®


Friday, 15 May 2020

TUMAREY NAAM P KUCH LAFZ...

tumarey bad mene, kuch lafxo se dosti kerli
k wo jab jab me likhu, loG BOHAT KHOOB kahty hen,
k mei kah rahi hun , tum chor gae, log ana jana samjh rahy

jo tukroo me batt gai, raha jism wahi aik
jese hath sbse milaliya , per raha dil wahi aik,

tumy dekh k jo jagmagaty thy
roshan jo hojaty thy
ankhen jo khill jati thi
dill jo dharak jata tha

ab dill dagmaga jata hey,
 ankhen nam hojati hey,
roshan jo kamra ho b tou,
sb siyaah sa hi rehta hey,

pehla socha chand se tashbih du,
phir socha suraj sa roshan kahu,
per jab rakha samney teeno ko,
tumy sbse azal paya mene,

tumara naam likha , or chooma use,
chahra tha qk door baohat,
sukoon tha jise smajha mene
wo tha sirf tumari zaat mei,

tumarey bad tanhai jesa kuch tha nahi ashiyaan mei,
qk jal gaya tha jo shehar
wahan honi thi kesi abadiyaa

likh rahi hun lafz kuch
tumy bayan jisme ker saku
na ilm itna hey zaat mei
na dimgh me alfaz hey

tum anmol thy, tum anmol ho,
lekin meri pohanch se bohat door ho...
by anumfatima®





GHAZALI ANKHEN...

USE jab pheli bar dekha tha,
ankhen do mint k liye jhapakna bhool gai thi,
 qad o qamat , 
rangat,
 shakhsiyat ,
 roub o dabdaba,
awaz,
her chex goya apny munh se mukammal honey ka saboot derahi thi 
dekhty hi usne yeh socha tha, ise mera hona chaye ...
lekin dill kisi surat is bat  p amada na tha. 
wo sbse door or alag rahney me jo lutf uthati thi , wo kisi k sath beth k baten kerny me
 nahi tha, phir wo isk b khilaaf thi k feelings her kisi ko batai nahi jati, pata nahi agla sunny k qabil b hey ya nahii...
 door se use dekh k aahen bharna or na honey p sath usk shukar krna,
alag maza deti thi, 
yeh kuch ajeebsi kefiyat thi, 
abi kuch mahiney phly hi kisi sadmey se dochaar hui thi, usse nikal hi pai thi k
YEH GHAZALI ANKHON WALO  LARKA  samney agaya tha,
hansta tha to jese baghon mei phool khilty thy,
jese chirya chahchahaati thi,
jese samandar mi pani shor kerta hey,
jese kahi gulaab khiltaa tha,
dono galo p parne wala wo gehra dimple
uski khobsoorti me ezafa kerta jarha tha, jese raat ki tareeqi me asman gehra hojata hey,
itna hi gehra uska dimple hota tha,
apni khobsoorti p naaz tha use, apny apko dekh k ghurooor se chora hokar chalta tha,
aksar o beshter use maghroori alfazat kahty b suna, q na khta ya q kerta ghuroor ,
husun tha usk pass.
lekin use pata nahi tha k
 HUSUN ITNII B BARII DALEEL NAHI HEY,
 dill mela ho ya zaban kali ho tou gori rangat or wajeh shakasiyat koi mainy nahi rakhtii,
use dekh k ya us jese kisi b shakhs ko dekh k use pany ki hasrat kabi  nahi ai usk dll mei, 
wajha pata nahi kia thi,
lekin kisi esi jagha jahan tang ho dill, nazar or ezat , wo kho jae ya chalii jae ya miley hi naa
 to xindagi gulzaar hoti hey,
wo esi kisi b chex ya shaksiyat ko pany ki khuwahish mei nahi thi
rabtey barhy or qurbat esi hui k jeeeny marny k adey hue thy, wo kisi wadey k haq m nahi thi lekin wo chahti thi k wo jo lafz usne kahy ya kahey hi nahi , ya jo ehsaas usk dill mei jaga wo uska bharam rakhey, apney taqat war or khoobru honey ka saboot ese dey k apny alfaz pury kare...

kisi k baghair rah skty hen lekin rahna nahi chahty , in dono bato me bohat bara farq hey, wo use bar bar kahti thi, agah kerti thi k rah tou sb lety hen ,
 lekin wo rahna nahi chahti, mujhy akela nahi chorna kabi , aksar yeh alfaz ada kerty hue uski ankho mei namii ajati thi jo us khoobru nojawan ne mehsoos nahi ki thi,
 apni xindagi k maqasid or agey ki palnning kerty hue uski baton mei kabi wo shamil nahi hui thi , uski ammi , choti behan or khud , yeh 3 logo p uski xindagii khatm thi, phir yeh jo use na chorney ka wasta derahi thi kahan thi, kis khitey me ati thi, kahan munhasir kari thi,

use bohat achii tarah pata tha, wo sehra k peechy hey, per dill tha k sehraa me khushk hona chahta tha,
wo chahti thi k yeh sbko jhutlaa ker uska hath thamey, or logo ko bataen k sb ese nahi hey, uska sir buland kerey
lekin yeh to wo chati thi , uska b chahna yeh xaroori tha...

usk janey k bad shayad hi koi lamha tha k jisme usne use mehsoos na kya tha,
 kabi nafart or kabhi bheegi palkoo se usk aney ka  intazaar kiya tha,

palat k nahi ana is bar, meri anae sakht hey, yeh bat use ranjeedah kerdeti thi..
log hasil krny k liye itni mehnat nahi kerty , jitni door janey k liye.

alfaaz ka pass rakhny ki taqat her kisi mei nahi htoi, per jisme b thi,
wo shakhs usse takraya nahi tha abi tak....,

 samney waly ka b dill itna gehra hona chaye jitni k uski baten thi na  k dimple jo k gaal p saja hua tha..
yeh aik kabi na khatam honey wala intazar tha...

 usk chhary ko hath me leker uski ghazali ankhon me dekh k bs use yeh batana chahti k
tumse dill laga hua hey mera, yeh dill kisi or se nahi lagana chahti....

jo baten tumse ki, ab unka haqdaar kisi ko nahi banana chahtii,
 wo lamhey jinme tumy mehsoos kiya , usme kis or ko mehsoos nahi kerna chahti,
jo lams tumary hath ka hey, ab wo kisi or ka mehsos nahi kerna chahtii thi,
dar haqeeqat wo tumsey bahir nahi ana chahti thi,
uski zaat ki gehrai me wo samata tha,
wo shayd ab marna nahi chahti thi, per kisi or k sath jeeny ki kuwahish b nahi thi,,,

To Be Continued
                                                                                                                           by anumfatima®
















Thursday, 14 May 2020

SHOOKHIYAAN SHARARATEN...

SHOOKIYAAN , SHARARTEN

uska chahra dekh k hamesha uski bachen khill jati thi , jese kisi chor ko ya kisi zaroortmand ki zaroort puri hui ho,
halki si muskurahat chahrey p her wqat sajae rakhna uski adat thi... yeh muskurahat or b gehrii hojati thi jab jab wo uska chahra dekhti thi  koi b yeh bht asani se mehsos ker skta tha, ankhen dil ka bayan hoti hey, uski ankhen usk dill ka haal batati thi.

adaen dikhany or naaz uthany me usne bachpan se hi uboor hasil tha
apni jagah kese banani hey, ankho ka tara kse banna hey use bohat achi tarah ata tha,

usk agy agy lehraty hue chal k use wo manoos kerny ki nakaam koshish ker rahi thi , wo jo k aik nojawan shakhs tha , aqal o shaour me usse bohat agey tha, sari adaon ko samjh k nazarandaz ker raha tha,
halki si muskurahat is bat ki gawahi deti thi k wo ,uski adaon me anay wala nahi hey...
apny ap mei sabit qadam rah k , soo meel k fasley k bad b ezat o ehtram k hawaley se  wo usk dill k bohat qareeb tha...
agey chalty chalty use yaad aya k , use sath chalna hey, ruk ker  uski ankho me dekha , wo hans raha tha, jese intzar ker raha ho,

palat k socha lapak k boosa lely, matha choom k kahey tum haseen lagty ho, wo haseen jiska saani koi nahi hoskta hey, dll ki gehraiyu me raaj kerty ho tum , esa raaj jiski aksar mard khuwahish krty hogy,.. ankhon me theri hui nami ki tarah ho tum, wo nami jo ansu ban k beh b jae tou agly ansu me b taseer choor deti hey,

lekin aas paas k mahool ne is kisi b jurrat ki ejazat nahi di...
bebaak to wo thi hi, lekin esi bekaki kbi nahi thi usme,

 sath chalty chalty ik jagah thehar k coffee peney ki khuwahish ne dono ko amney samny bethny p majboor kerdia tha, yeh koi esi majboori nahi thi jisp jabran kaam kerna tha,, ,majboori yeh thi k ik table p b amny samny bethna tha,
kuch dair bad tehalney ki garz se dono aik bar phir sath jarahy thy,  usk sath chalty me use fakhar mehsoos hota tha, wo fakhar yeh tha k use dill ka sukoon milta tha, use mill k usne jana tha k baghair lams mehsoos kiye ap garweeda hoskty hen, EZAT muhabbat se bohat uper hey, or hosh sambhalny se ab tak wo isi ezat ko dhondh rahi thi...

uski baten thi k qisey thy sadiyu k, itni umar nh thi jitny qissey wo suna dia kerta tha, lekin usne hamehsa use bolty hue bohat mohtaat or khoobsurat paya..
uski baton se manos nahi thi wo, usk amal or jhuki nazarey manoos ker rahi thi..
use andaza tha k yeh wo akhri shakhs hy jise wo dhond rahi thi, isk bad talash khtam hogai thi
lekin yeh or bat thi k

MILNA USE WO B NAHI WALA THA..

lekin duaen taseer badal deti hey, bs yhi soch k duagoo thi..

To be CONTINUED...
                                                                                                                         by anumfatima®

Wednesday, 13 May 2020

wo taweel taweel guftugoo

WO TAWEEL TAWEEL guftugoo
jo hui khatm to qaraar hua,

ye kesi muhabbat e insan hey
jo bichar gaya to qarar hua

jise band ankho se dekha gaya
usi khuli ankho se dhondhna,

wo mila wo kho gaya
 phir mila phir khoo gaya

 yeh khel hy kia paany khoony ka
jo hasil hua tou malaal hua

khuwahish thi matha choom k
use lams mehsoos karae hum

dill tor k , dukha k wo
ujaar gaya sb lams wo..

chamakta chahra or uski tazgii
dill pathar ka, or sb arzii

wo taweel taweel guftugoo
jo hui khatam to qaraar hua

or beqaraari jo dil me thi
kisi surat kam na hui,

use dekh k, use soch k,
sb shuru hua jo hua tha khtam,

 mere dill mei uski jagah wahi
mri ankh mei thi haya wahi...

wo jo jaraha tha bar bar
ghuroor tha use kis bat ka

k chahry use khooburat mil jany thy kai orr
per yeh khulos yeh muhabaten nahi mlti kisi ghuroor se

ruswaa kiiya zamany mei
apni baton se munh phair k

mjhy chor k , meri zaat ko
dhondega wo her zaat me

milega nhi jab kuch use kisi b badzaat mei
mangega phir ALLAH se wo apni zaat ko usi ki zaat me,

allah b kia deta hey
jo chor dey chexen apny hath se
likhi jati hey phir ruswaiya, barbadiyaa, nakamiyaan unhi k naam p

wo taweel taweel guftugoo
jo khtam hui to qaraar hua
by anumfatima...







KUCH ADHOORI BATEN...

KUCH ADHOORI BATEN....

Kali ghani darhi me, uska chahra roshani ki tarah chamak raha  tha, asman p dekha to kaley badlo me chand jagmag ker raha tha,
Usne aik chand asman p dekha tha, aik apny samny dekha tha...

Kabi socha nh tha jisey chand kaha hey wo roshni nh dega bulk roshni mand kerdega dega..
Chand ko jab jab dekha . Tanha raat ki tareeqi me ghira hua.. apny purkashish hony ki gawahi deta tha, usk uper nishan yeh bataty thy k logo k raaz usme dafan hey or wo tab b roshan hey..

Meri khuwahish hey k me jisse shadi karu meri bv k baraber mjhe sona dia jae ya phir naqdi raqam, is alfaz k bad wo zor se hansa tha, lekin wo tou pathar ki hogai thi, use yeh sochty  hue bohat sharmindagii horai thi k usne yeh kesa intakhab kiya.

kIA USKI EZAT KER SAKEGA YA  peso me tooley ga.... nikah k nam p gumrah to nhi karega,,, hazaro sawalo ne janam liya tha..
kia uska shohar ban skta hey. jisk usney khuwabb dekhy thy.. kia wo is ki ata'at ker skti hey...
 lekin wo esa nahi hey yahi bat use her bat ko na manny p majboor ker deti thi...
Yeh kis kisam ki bat thi ,
uski zor dar kahkahu se wo hawas mei aii, hansty hue usne kaha k mazaq hey, lekin yeh maq nhi tha, yeh aik sachai thi, jo kah di gai thi...

pehli bar jab wo chor k palta tha, usk dill ko dharka laga tha , yeh dubara b jaega, insani fitrat hy
ghomney k rastey dekh ley tou bs ghoomna chahti hey, dil se majbor  usp aetbaar na kerti tou kia kerti, bichrii muhabbat 2 din ki parwan k bad jhaag ki tarah beth jani thi,
 yeh waswaey esai nahi thy, wo chahti thi yeh shakhs jise wo chand kah rahi hey, uska maan rakhley...
jahan usne apna sukoon or muahabbat lutai he wahan se besukooni na miley...


lekin insani fitrat hey jahan se ezat milti hey , smjhti hey k wo is ezat ki haqdaar hey, halank use is bat k liye agley ka mashkoor hona chye k use ezat bakhshi gai Allah ki taraf se,,,

kisi k liye rona barii bat nahi hey , dill dukhta hey tou ansu nikal hi aty hen, asal bat hey jab us ansu ko samjhny wala b ho...
.
use lag raha tha k wo samjhta hey use, koi apki bat sun k apka mazaq urana shuru kerden ya hsnany lag jae , kia ese log kabi samjh skty hen...

jise chand kaha ho usk samny b koi bat khty hue sochna pary to phir soch hi lena chye...
lekin wo is samjh se qasir hti.. wo chahti thi k usne jisey chand kaha hey, uski chamak wahi baney, uski zaat usi se chamkey...
LEKIN
RAB E TALLAH apko jab behtreen se nawazna chahta hey tou bhter leleta hey....
To be continued....


BY ANUMFATIMA®











Thursday, 7 May 2020

yeh jo JHIRKIYAAN mujhy mill gai...

Yeh jo JHIRKIYAAN  mjhy mil gai
Meri muhabbtoo ka kamal thi

Use toot k mene chaha tha
Badley me b yahi manga tha
Wo na smjh saka na wo sun saka
Jo alfaz Thy wo to ziyaa hue
Or ehsasaat b khatm hue
Wo jo palat gaya mjhy chor k
Jo jhirak gaya mjhy dekh k
Kaha tha mene use jab yeh
Tum bin rahna chahti nhi
Wo smjha lafzo k teer hey
Khel gaya isk kaman se
Palat k kaha tha usne
Jaana rahny apko degy b nahi
Me smjhi mera ehsaas hy
Usk dil me b wahi jazbat hey
Lekin wo to smjha tha
Khel hy teer kaman ka
khel gaya kaman se phir
Yeh jo JHIRKIYAAN mjhy mil gai
Meri muhabbton ka kamaal thi
Ansou k girny ka dukh nh
Yeh dill saaf hony ki alamat hy
Per giry kisy shakhs k liye
Yahi to sbse bari qayamat hy
Usne chaha tha faqat hojae uski
Marjae usk nam se
Rah jae usk naam p
Gawara kahan tha use
Yeh be mtlb ki mubabbat
Usi garz thi kisi sheh ki
Jo wo de saki na le saki
Yeh jo JHIRKIYAAN mjhy mil gai
Meri muhabbtoo ka kamal thi
Saal ba saal guzar gae
Yunhi smjhty sambhalty
Jo smjhny lagy ik dosry ko
Rasty phir badal gae
Wo raat bhar jag k
Awaz sunny ki bechaini thi
Ab jo sun ley to bezaari..
Or jo kah dey to badkaari
Yeh jo JHIRKIYAAN mjhy mil gai
Meri muhabbtoo ka kamal thi
By Anumfatima®

UDASIYAAN , NAKAMIYAAN...

UDASIYAA NAKAAMIYAA..

wo chahti thi yeh larai taveel na ho,

lekin Ana bech me khari thi , sary talluq khatam kerk b agly din be maqsad ka sms kerk use yaad dilaya tha k , zindah hun mei abi.
 pehal kare ya na kare, isi kashmakash mei message chala gaya tha. Use is bat ka dukh nahi hona tha k wahan se jawab nh aega,  qk jwb to ata tha.. dukhany k liye usk pas or b zarae thy..
Haye yeh kesi jurrat thi , ezat e nafs kinary kerk agy barhna tha yeh sochy baghair k agey se use  jhirkaa b jaskta hy,
Shikayat o tanz k teer chalty hue usk chahry p dabi si hansi thi , jisse yeh zahir hota tha , bhaley tanz hora hey lekin kuch to hey jo hora hey..
Rishto k mamly me hamesha se bohat ghareeb rahi thi. Rishty bachany or barqaraar rakhny k liye jitna wo jhuk jati thi utna hi gir jati thi..
Shayd log itni bazarf nh they ya wo kamzarf nh thi ..
Kali Barii bhoori ankhen , gori rangat, lamba qad , chora shaana, yahi tashreeh batai gai thi use kisi b khoobsurat shakhs ki,,
lekin usne jise khoobsurat kaha tha uski ankhen bhoori nahi thi lekin gehri thi, qad jitna lamba tha dill b utna wasee tha, rangat gandumi thi lekin ghani darhi use purkashish banati thi, akhlaqiyaat me usne jese uboor hasil kiya tha , zabaan me itni taseer thi k kisi ko b ma'ail ker sakta tha, uski uthi nazro me jo haya thi wo kisi ki jhuki nazro me b mehsoos nh ki thi usne.. use yeh apna muhafiz lagta tha
Achaw wqat any wala hey yahi soch k safar jari rakha hua tha,  dill tha kisi se amadah nh hota tha, bechaini  thi k barhti jati thi,
Wo Allah se hamesha apna sukoon mangti thi ,dil ka sukoon , Allah kisi bandy ki MUhabbAt me na rulana, tere bandy bary zalim hey.. aksar is dua p ansu ajaty thy..
Dono me kisi kisam ka koi mo'aeda nh hua tha sath rahegy ya degy, lekin wo chahti thi in siyah ankho ki chamak wo ho, is waseeh dill me uska raaj ho,
Zindagi me phli bar kisi ki chahat hui thi, esi chaht jisme zamen asman aik kerny k waday nahi thy, lekin justuju thi,
Esi chahat jisme qadam se qadam nh milana tha bulk sath chalna tha , esi chahat thi k duniya se chura ley . Agy barh k hath barhae or tham le usko, usne kabi yeh nh socha tha k hath jhirka b jaskta hy , wo qadam pechy b hatt skta hy... usne yeh sb socha hi nh tha , usne bs uski zaat chahy thi...
Lekin wahan to ,
us dill me kisi or ka raaj tha, un ankho me siyahi kisi or ki thi, us dimagh me soch koi or thi , dill kisi or k liye dharakta tha, chaht lagan or justuju kisi or k liye thy , usk ansu b kisi or k liye thy...
Tou phir yeh kia tha jo usne mehsoos kiya tha???
To be continued
By Anumfatima 

Sunday, 3 May 2020

UJAAR BACHPAN

Ujaar bachpan...
Behan ko apni bachi ko buri tarah marty dekh k usne chilla k kaha tha k jab tumari beti kisi k ghar janay se mana ker rahi hy to iski wajha hogi . Wo wajha janny ki koshsh karo..
uska bas nh chal raha tha k apni behan ka qatal kerdey , jhunjhula k usne kaha tha betiya nh palti to paida q ki thi... yh kesi uljhan thi , kis bat ka gussa tha zehan mei kia chal raha tha  usk, ankho me yeh nami q agai thi, dimagh ne kaam kerna q chor dia tha, jism ka bojh leker jhat se q beth gai thi use kia yaad agaya tha...

(Behan k ghar se reel lado....
is jumly me darny jese kuch b nh tha, lekin wo 7 sal ki bachi dar si gai thi,
Amma ki bar bar ki zid ne use apni behan k ghr jany p majboor kerdia , wo wahn nhi jana chahti thi,
Is dar ki kia wajha hoskti thy , kia wahan koi insan ki shakal mei wehshi darinda rehta tha,
Pechy hatty qadmo se agy barhta jism jese chah raha tha zameen phat jae or usme chali jae lekin behan k ghar na jae, ghar ka darwaza khula , usk under dakhil hoty hi ghar k sannaty ne jese uski jaan nikal di thi ,apni her saans use rukti nazar arahi thi, ruk hi jati to acha tha, her ahat jese use wapis bhag jany ka kah rahi thi,  bhaag jao ya yahi mar jao, reel dety hue us darindy ne uska hath pakra tha, hath pakra tha yaa uski urhti tittliya noch li thi, kia unk par toor dye thy ya unhy maar dala tha , ya adh mara k zameen p phenk dia tha, t.v p ati yeh nangi ourto ko dikha k wo is masoom zehan me kia lana chahta tha, usk choty se hatho p apni ghalazat ki chadar dalty hue use zara reham na araha tha, TUMARA JISM BOHAT KHOOBSURAT HEY,  is sargoshi ne use saktaa kerdia tha, hath jhatak k reel leker jaldi se bhagti yeh bachi zameen p b zor giri thi , asmaan se tou wo wesai gir gai thi, yeh kesa ehsas tha jo use ghaleex lag raha tha jese usne keechar me hath dal dia ho. Cheekh k kise pukarti uski to amma ne use yahan bheja tha,
Haye yeh siskiyaa .. kisi ne nahi suni thi . Under se nafrat kerny ki aag ka ik lawa phoot chuka tha,
Ghar aty hi reel zamen p phenk k usne cheekh k kaha tha, mei ab nhi jaogi wahan,  is jwb p
Ik zor daar thapar aya tha  dosri janib se jisne usk gaal ko surkh kerdia tha jese abi uski rooh hui thi .  Lekin ab wo cheekh k roo skti thi.. )
Use shadeed nafrat horahi thi apny beti hony p,, us ghar ka hissa hony p , apny zindah hony p..
Betiyu waly ghar me damad jese sanp palny ho tou phly betiyu ko dafna do.. lekin lutny k liye betiyu ko na choro. Or phir  hoti hen ezat ki baten konsi ezaten ,janazey uth gae hen ezato k betiyu k zariye.  Hifazat nh kerskti, uski baat nhi smjh skti tou paida q ki thi... apni behan ko cheekh cheekh k bolty hue wo kamry se bahir chali gai thi..
Apni dairy k her safhey p usne likhna shuru kiya tha ""kash mei paida hoty hi mar jati""
Ankho se ansu usk hath p girey thy jo use bilkul khali lagy thy... asman ki taraf dekha tha usne , wo Allah k pass jana chahti thi, wo mar jana chahti thi..
Yahan se aghaz e nafraat hui thi
Aghaaz e jurm hua tha
Aghaaz e tanhai hui thi
Aghaaz e khookla pan hua tha
Aghaaz e ujaar hua tha
Aghaaz e batameezi hui thi,
Is bachpan ki sari tittliya uski margai thi.. chahry ki hansi masoomiyat,bholla pan ,manoos ker dene wali adaen kuch b nh tha..
Han laan tan , duniya ki phitkaar , khud garzi zaroor usk chahry se ayan thi...
Khamoshi xulm ko agy barhati hey..
SORAJ KI KIRNO KO USNE JISM K JIN HISSO ME JANY NH DIA THA,
 HAYE yeh wehshi ankhen wahan tak gai thi...
Hosh sambhalty hi usne jab bolny ki taqat rakhi tou asman ki taraf  dekh k use is khayal ne hilla k rakh dia k is darindy ka qaraz b uski kisi tittli ko utarna parega..
ALLAH o AKBAR...
Yeh kesa qanoon tha...
To be continued
By Anumfatima 

Saturday, 2 May 2020

JHIRKIYAAN

JHIRKIYAAN...

Agai munh kala kerk...
Es alfaz ne jese use hilaa k rakh dia tha , yeh kesi bat thi yeh kesi narazgi thi jo uski ammi usk bahir se any p kah rahi thi, choti umar k jis hissey mei usne yeh alfaz suny thy, use to us kalak ka pata hi nhi tha jisk malny ka usko elzam dia jaraha tha,
ghabrahat or pareshani me chexen hatho se gir rahi thi, ese me uze yaad aya k raat k khany k liye use roti banani hey, lekin kitchen me qadam rakhty hi
Yeh kesa shoor suna tha usne, palat k bhagii to yeh kesa manzar tha k uska bara bhai usi ki barii behan ko maar raha tha or kahta jaraha tha k yeh hy awara ,, yeh kon log thy.. chahry p etminaan or sukoon liye uski ammi khary hoker sara manzar dekh rahi thi, kia yeh sagii maa thi, kia ink hi pait se janam hua tha .. to wo naram dili kahan gai wo shafqat wo muhabbat...
Ahh yeh chexen tou wo hamesha hi dhonda kerti thi
Ek jahalat se nikalny k liye use dosri jahalat ka samna kerna tha, yeh bhai saibaan thy ya saya cheeny waly ..
Andhery kamry me ati chand ki chamkati roshni , usk girty ansuon ko chamka rahi thi, mazaq ura rahi thi ya jese use yaqeen dila rahi thi k sab thek hojaega,  use wo wqt yaad agaya tha jab uski kirdaar kashi ki gai thi , gehri soch me khooty hue use yaad aya k..
(Phone ki ghanti bajty hi kisi wrong number se bat kerk usk bhai ne usse kitaben cheeny or ghr p bethny ka faisla sunaya tha ,under se kitni kamzor c thi wo k safai me yeh b nhi kah saki k mene kuch kiya hi nhi.. ) use wo lamha yaad agaya tha jisne dard ki shiddat me ezafa kerdia tha , use yaad agaya
jb use bad kirdaar kaha gaya tha, yeh 15 saal ki bachi kese bad kirdar hogai , kese bad kirdar hoty hen,
kirdar banny se phly kirdaar toot gaya tha .. ab yeh sochna tha k kirdar khara kese hoga , itni taqat kahan se aegi ,
Haye...
yeh kesa qarb tha sary dukh ek sath yaad any thy..
Koi khushi ki khabar b to yaad askti thi jo us tooty lamhey me rahat hoti, lekin yahan to yahi socha jaraha tha
Jism k under jo sb toot gaya tha wo kese jurega ,
aik bar phir .
Yeh kesi wehshat thi jo use apny hi ghr walo se horahi thi, yeh kon log thy jo naqab laga k ghoom rahy thy k hum ezaatdaar hey, behan ki ezat ko uchal k yeh konsi ezat k hony ka dankaa baja rahy thy..
Uski behan jo shohar k any ki khushi me parlour se usk sath ai thi, chahry ki sari ronaaq kahan chali gai thi..
sukoon ka ghar tha  ya besukooni ki jagah
Yeh kesi jagah thi jo use khudse wehshat dila rahi thi
Ghar ka her koona jese aziat deraha tha
Uski rooh ko und3r tak chalni ker raha tha ,
Yeh girty ansu ruk nhi rahy thy. Ese me kia wo khud ko mazboot ker skti thi. Kia usk under ki ourat aik mazboot ourat ban k khari hoskti thi... ansu thamny ka naam nhi lerahy thy ese mei wo sogai thi ya margai thi kuch pata nhi tha ..
To be continued...
By Anumfatima 

Friday, 1 May 2020

SOHAANI SHAM...

Halank yeh unki pehli mulaqaat nahi thi, 
raat ki tareeqi barhti  jarahi thi, lekin wo to bohat pursukooon thi, kis bat ka etminaan tha use, usk sath chalny waly ney use kis bat ka tahafuz dia tha ,
usk sath wo kisi chattan ki manind jaraaha tha, 
chalen ab ghar chalty hen,
in alfaz ne use hansty se rook diya tha , yeh kisk ghar jany ki bat horahi thi, kia wo use apny sath lejaraha tha , agr sath lejaraha tha tou yh hansi kaha gaib hogai thi,
garii ki taraf barhta her qadam use dukhi nhii ker rha tha, lekin yeh pareshani thi ya bechaini , bayan se bahir thi.
gari ko kisi morr p rukna tha , lekin wo mor un dono ko alag ker raha tha.
gari me bethty hi use yeh khayal aya k waqat zara taveel hojae ya tham jae, yeh lamhey khoobsurat ab kahan aegy,, shayad wo isse ziada khoobsurat kisi chez ko nahi kah skti thi, 
garii ruk gai thi tou kia baten khatam hogai thi ya rasta.
kamli ka ghar agaya tha..

To be continued...
By Anumfatima

DILL KA SUKOON...

Halank raat k andhery mei yeh samandar bohat hi khoofnaak lag raha tha, lehroo ka shor jese usk under k khoof ko jagah raha ho,
Lekin sath chalny waly k qadam jese use mazboot ker rahy thy , samandar ki taraf barhta her qadam jese use wehshat dila raha tha , per is shor or khoofnaak manzar se wo sirf is liye mehzooz horahi thi,
Qk usk sath chalny waly ko raat ki tareeqi me yah manzar haseen lagta tha , wo chahta tha k wo wahi ruk jae or ghanto baten karen jese aksar wo akele me is samandar se kiya kerta tha ,
Waqat guzarta jaraha tha or samandar ki wehshat barhti jarahi thi, lekin use us wehshat me jo sukoon mil raha tha wo shayd sukoon me b nh milta tha,
Samandar to samandar hey bohat gehra jo dalo wo gharak hojae shayad isiliye wo apni sari baten abi tak sirf samandar se kerta tha.. shayad insan ko abi usne is qabil nh jana tha k humraaz bana saky.. phir yeh sath chalny wali dosheezah kon thi or q thi..

To be continued..
By anumfatima 

SAHIL KINAREY...

Sahil kinary.
Chand ki chamakti roshni samandar k pani per bohat haseen  lag rahi thi , yeh manzar raat ka us lamhy ko orr b dilkash bana raha tha..
Lehroo ka shoor mano rooh ko jese sukoon deraha tha, is alam me uska sath kisi khazany jese tha, jise chupaya b nh jaa skta tha or dikhaya b nh jasakta tha, 
Na hathon me hath thy , na bahon me bahen , aik faasley se chalny k bawajood b wo sbse qareeb lag raha tha, 
Ithlaati bal khati  , qadam se qadam mila k chalti hui wo usk sath jo khushi mehsoos ker rahi thi wo uski ankho se  saaf zahir thi , mustaqil apny qissey sunata wo thak nh raha tha naa wo use chup kerwana chahti thi... 

To be continued.. 
By Anumfatima