Agai munh kala kerk...
Es alfaz ne jese use hilaa k rakh dia tha , yeh kesi bat thi yeh kesi narazgi thi jo uski ammi usk bahir se any p kah rahi thi, choti umar k jis hissey mei usne yeh alfaz suny thy, use to us kalak ka pata hi nhi tha jisk malny ka usko elzam dia jaraha tha,
ghabrahat or pareshani me chexen hatho se gir rahi thi, ese me uze yaad aya k raat k khany k liye use roti banani hey, lekin kitchen me qadam rakhty hi
Yeh kesa shoor suna tha usne, palat k bhagii to yeh kesa manzar tha k uska bara bhai usi ki barii behan ko maar raha tha or kahta jaraha tha k yeh hy awara ,, yeh kon log thy.. chahry p etminaan or sukoon liye uski ammi khary hoker sara manzar dekh rahi thi, kia yeh sagii maa thi, kia ink hi pait se janam hua tha .. to wo naram dili kahan gai wo shafqat wo muhabbat...
Ahh yeh chexen tou wo hamesha hi dhonda kerti thi
Ek jahalat se nikalny k liye use dosri jahalat ka samna kerna tha, yeh bhai saibaan thy ya saya cheeny waly ..
Andhery kamry me ati chand ki chamkati roshni , usk girty ansuon ko chamka rahi thi, mazaq ura rahi thi ya jese use yaqeen dila rahi thi k sab thek hojaega, use wo wqt yaad agaya tha jab uski kirdaar kashi ki gai thi , gehri soch me khooty hue use yaad aya k..
(Phone ki ghanti bajty hi kisi wrong number se bat kerk usk bhai ne usse kitaben cheeny or ghr p bethny ka faisla sunaya tha ,under se kitni kamzor c thi wo k safai me yeh b nhi kah saki k mene kuch kiya hi nhi.. ) use wo lamha yaad agaya tha jisne dard ki shiddat me ezafa kerdia tha , use yaad agaya
jb use bad kirdaar kaha gaya tha, yeh 15 saal ki bachi kese bad kirdar hogai , kese bad kirdar hoty hen,
kirdar banny se phly kirdaar toot gaya tha .. ab yeh sochna tha k kirdar khara kese hoga , itni taqat kahan se aegi ,
Haye...
yeh kesa qarb tha sary dukh ek sath yaad any thy..
Koi khushi ki khabar b to yaad askti thi jo us tooty lamhey me rahat hoti, lekin yahan to yahi socha jaraha tha
Jism k under jo sb toot gaya tha wo kese jurega ,
aik bar phir .
Yeh kesi wehshat thi jo use apny hi ghr walo se horahi thi, yeh kon log thy jo naqab laga k ghoom rahy thy k hum ezaatdaar hey, behan ki ezat ko uchal k yeh konsi ezat k hony ka dankaa baja rahy thy..
Uski behan jo shohar k any ki khushi me parlour se usk sath ai thi, chahry ki sari ronaaq kahan chali gai thi..
sukoon ka ghar tha ya besukooni ki jagah
Yeh kesi jagah thi jo use khudse wehshat dila rahi thi
Ghar ka her koona jese aziat deraha tha
Uski rooh ko und3r tak chalni ker raha tha ,
Yeh girty ansu ruk nhi rahy thy. Ese me kia wo khud ko mazboot ker skti thi. Kia usk under ki ourat aik mazboot ourat ban k khari hoskti thi... ansu thamny ka naam nhi lerahy thy ese mei wo sogai thi ya margai thi kuch pata nhi tha ..
To be continued...
By Anumfatima
This comment has been removed by the author.
ReplyDeleteBohot khoob.. waiting desperately for the next part ❤❤❤👍👍👍
ReplyDeleteAnd this is endless ❤️❤️ Behtreen soch hai bht behtreen likha hai Good Job 👍
ReplyDeleteBehtreen...👍
ReplyDelete