Sunday, 3 May 2020

UJAAR BACHPAN

Ujaar bachpan...
Behan ko apni bachi ko buri tarah marty dekh k usne chilla k kaha tha k jab tumari beti kisi k ghar janay se mana ker rahi hy to iski wajha hogi . Wo wajha janny ki koshsh karo..
uska bas nh chal raha tha k apni behan ka qatal kerdey , jhunjhula k usne kaha tha betiya nh palti to paida q ki thi... yh kesi uljhan thi , kis bat ka gussa tha zehan mei kia chal raha tha  usk, ankho me yeh nami q agai thi, dimagh ne kaam kerna q chor dia tha, jism ka bojh leker jhat se q beth gai thi use kia yaad agaya tha...

(Behan k ghar se reel lado....
is jumly me darny jese kuch b nh tha, lekin wo 7 sal ki bachi dar si gai thi,
Amma ki bar bar ki zid ne use apni behan k ghr jany p majboor kerdia , wo wahn nhi jana chahti thi,
Is dar ki kia wajha hoskti thy , kia wahan koi insan ki shakal mei wehshi darinda rehta tha,
Pechy hatty qadmo se agy barhta jism jese chah raha tha zameen phat jae or usme chali jae lekin behan k ghar na jae, ghar ka darwaza khula , usk under dakhil hoty hi ghar k sannaty ne jese uski jaan nikal di thi ,apni her saans use rukti nazar arahi thi, ruk hi jati to acha tha, her ahat jese use wapis bhag jany ka kah rahi thi,  bhaag jao ya yahi mar jao, reel dety hue us darindy ne uska hath pakra tha, hath pakra tha yaa uski urhti tittliya noch li thi, kia unk par toor dye thy ya unhy maar dala tha , ya adh mara k zameen p phenk dia tha, t.v p ati yeh nangi ourto ko dikha k wo is masoom zehan me kia lana chahta tha, usk choty se hatho p apni ghalazat ki chadar dalty hue use zara reham na araha tha, TUMARA JISM BOHAT KHOOBSURAT HEY,  is sargoshi ne use saktaa kerdia tha, hath jhatak k reel leker jaldi se bhagti yeh bachi zameen p b zor giri thi , asmaan se tou wo wesai gir gai thi, yeh kesa ehsas tha jo use ghaleex lag raha tha jese usne keechar me hath dal dia ho. Cheekh k kise pukarti uski to amma ne use yahan bheja tha,
Haye yeh siskiyaa .. kisi ne nahi suni thi . Under se nafrat kerny ki aag ka ik lawa phoot chuka tha,
Ghar aty hi reel zamen p phenk k usne cheekh k kaha tha, mei ab nhi jaogi wahan,  is jwb p
Ik zor daar thapar aya tha  dosri janib se jisne usk gaal ko surkh kerdia tha jese abi uski rooh hui thi .  Lekin ab wo cheekh k roo skti thi.. )
Use shadeed nafrat horahi thi apny beti hony p,, us ghar ka hissa hony p , apny zindah hony p..
Betiyu waly ghar me damad jese sanp palny ho tou phly betiyu ko dafna do.. lekin lutny k liye betiyu ko na choro. Or phir  hoti hen ezat ki baten konsi ezaten ,janazey uth gae hen ezato k betiyu k zariye.  Hifazat nh kerskti, uski baat nhi smjh skti tou paida q ki thi... apni behan ko cheekh cheekh k bolty hue wo kamry se bahir chali gai thi..
Apni dairy k her safhey p usne likhna shuru kiya tha ""kash mei paida hoty hi mar jati""
Ankho se ansu usk hath p girey thy jo use bilkul khali lagy thy... asman ki taraf dekha tha usne , wo Allah k pass jana chahti thi, wo mar jana chahti thi..
Yahan se aghaz e nafraat hui thi
Aghaaz e jurm hua tha
Aghaaz e tanhai hui thi
Aghaaz e khookla pan hua tha
Aghaaz e ujaar hua tha
Aghaaz e batameezi hui thi,
Is bachpan ki sari tittliya uski margai thi.. chahry ki hansi masoomiyat,bholla pan ,manoos ker dene wali adaen kuch b nh tha..
Han laan tan , duniya ki phitkaar , khud garzi zaroor usk chahry se ayan thi...
Khamoshi xulm ko agy barhati hey..
SORAJ KI KIRNO KO USNE JISM K JIN HISSO ME JANY NH DIA THA,
 HAYE yeh wehshi ankhen wahan tak gai thi...
Hosh sambhalty hi usne jab bolny ki taqat rakhi tou asman ki taraf  dekh k use is khayal ne hilla k rakh dia k is darindy ka qaraz b uski kisi tittli ko utarna parega..
ALLAH o AKBAR...
Yeh kesa qanoon tha...
To be continued
By Anumfatima 

3 comments:

  1. Apne wo ahsas zahir kiya hai jo is mashre m aj waqai yehi kiya jata hai larkiyon k moo bnd krne m he apni izzat ko bachaya jata hai.... Or hum kb in darindon ko duniya k samne ayaa kren gy

    ReplyDelete
  2. Ik shakhs se ma'ashraa banta hy.. or ik shakhs ko hi badalny ki zarort hey..

    ReplyDelete
  3. society's paradigm of the ideal woman and a men as well...

    ReplyDelete